Holy Quran guides us towards the Right Path

 

Chhoti Chhoti Baatein (Urdu)

Sacha Madadgaar

Jungle mein aag nazar aaye to hum jaan jaatay hain, koi hai jis nay aag jalai hai. Wohi is andheray aur sunsaan jungle mein hamari madad karay ga.
Isi tarah zameen say croron meel kay faaslay par jaltay sitaray ko dekh kar pata chalta hai koi Zaat to hai is kainaat mein is ko bananay wali.

Jaan lein wohi Zaat is poori kaainat mein hamari sachi madadgar hai.

Kaamyabi

Yeh aik haqeeqat hai keh agar hum kaamyabi ka safar tezi say tay karna chahtay hain to achhay institute ya company mein aik kaamyaab supervisor ya officer kay saath mil kar kaam karein.

Zara sochein hamaray liye to kaamyabi haasil karna buhat aasan hai kyonkeh hamara mazhab Islam hai (sab say sacha aur behtareen mazhab) aur hamein taleem denay waali hasti Hazrat Muhammad (S. A.W.) ki hai (is kaainat ki kaamyab tareen hasti).

ALLAH ki Khushi

Woh derh do saal ka bacha, do qadam apni maa ki taraf chala aur gir parra. Laikin us ki maa nay girnay say pehlay hi bachay ko pakkarr liya. Maa us ko apni taraf chalta dekh kar itni zyada khush thi jis ka andaza bhi nahi lagaya ja sakta.

Ab zara sochein hum kitnay gunaahgaar hain laikin agar girtay parrtay qadmon say apnay ALLAH ki taraf do qadam bhi chalein gay to woh kitna khush ho ga.

Rooh ki Pyas

Aik shakhs jis nay saaray din mein aik ghoont bhi paani nahi piya tha. Sakht garmiyon main mazdoori karnay kay baad shaam ko pyas say us ki buri haalat thi. Aur jab shaam ko usay thanda paani mila to, us main, zindagi ki aik nayi leher daurr gayi.

Bilkul isi tarah hamari rooh bhi pyasi hai aur is ki pyas Quran Majeed kay parhnay say hi bujhay gi.

Maa ki Muhabbat

Maa ki muhabbat laa-mehdood hai, kisi maazoor say poochh kay dekh lo!

Maa ki har baat maan kay kitna sukoon milta hai, kisi kaamyab aadmi say poochh kay jaan lo!

Maa jesa koi nahi, kisi aisay bachay say pooch kay samajh lo jis ki maa ab nahi rahi!

Maa har cheez bachon pe qurbaan kar deti hai, maa ki pasandeeda cheez maang kay mahsoos kar lo!

Maa har waqt bachon kay liye dua karti rehti hai, chahay maa kay saamnay hans kay chaahay ro kay dekh lo!

Ghar

Agar kisi shakhs ko usi kay ghar ka raasta bhool jaye to usay aap kya kahein gay?
Bhulakkarr / Bewaqoof / Bhatka hua etc.

Agar koi shakhs apnay ghar kay bajaaye kisi ghair kay ghar mainja kay rahay aur kahay, main to idhar hi rahon ga. To usay aap kya kahain gay?
Bewaqoof / Apna sahi ghalat na samjhnay wala etc.

Isi tarah agar apnay Islam kay bataye huay raastay par na chalay to hum bhatkay huay naadaan log hongay.

Madad

Buhat socha laikin masla hal hi nahi ho raha tha. Lagta tha yeh masla hal nahi hoga. Itnay main us shakhs ki call aayi. Uska number dekhtay hi sukoon mehsoos honay laga. Woh bola "Pareshan na ho mein tumharay saath hoon."
Phir maslay ka mumkina hal bhi usnay bata diya...

Aap ko kesa lagay ga agar koi aap ki har maslay mein isi tarah madad karnay lagay.

To jaan lein har maslay mein hamara sacha madadgar mojood hai aur woh sirf ALLAH hai.

Chhota Bacha

Aik Chhota bacha, aik kaghaz apnay seenay say lagaye pooray ghar main phir raha tha.

Apnay bhai behen ko woh kaghaz dikhata aur kehta, "dekho kitna khoobsurat sabaz rang bhara hai mein nay is mein".

Jab us kay bhai behen ya koi aur kehta keh idhar do is mein kcuhh aur rang bhar doon. To woh kehta,
"Kyon? mein apna kaghaz kharab kar doon?"

Bilkul isi tarah hamara mulk bhi hamari tasveer hai. Is mein asal khoobsurti kay rang hum hi bhar saktay hain.

Kaghaz

Teen bilkul khaali kaghaz lain. Aik par ulti seedhi lakeerein laga dein. Doosray ko bilkul khaali chhorr dein. Aur teesray par Quran Majeed ki aayaat aur un ka tarjama likh lein. Aur ab sochain konsa kaghaz aap dil say laga kay rakhain gay.

Isi tarah jis dil mein ALLAH ki baat likhi ho gi, wohi dil haqeeqat mein izzat kay qaabil hai.

Ghar aur karaya

Us nay aik ghar karaye par liya....
Kuch din woh us karaye kay ghar mein buhat achhay tareeqay say raha. Laikin phir kuch ghalt kaamon mein parr gaya. Us ka maalik makaan usay buhat samjhata raha laikin woh na samjha....
Aur aik din maalik nay usay buri harkatoon ki wajah say zaleel kar kay ghar say nikaal diya...

Zara sochain isi tarah yeh zameen ALLAH ki malkiyat hai aur agar hum nay Uski baat naa maani toh Woh hamaray saath kya kuch kar sakta hai laikin hamein muaaf kar deta hai. Aur muaaf karta ja raha hai.
Chhoti chhoti baatein----Pages----1, 2