Holy Quran guides us towards the Right Path

 

Chhoti Chhoti Baatein (Urdu)

Chhoti si Zindagi

"Tum ro kyon rahay ho?"
Suraj ki pehli kiran nay gulab kay phool say poochha.

Gulab ka phool bola, "Abhi thori der pehlay meri saheli 'titli' keh rahi thi main aaj aakhri baar milon gi tum say. Aaj aakhri din ho shayad!"...

Phir us pehli kiran nay gulab kay phool say dosti kar li...

Aur phir aik din woh pehli kiran bheegi palkon kay saath nikli,
"Kya hua?" Thandi hawa nay poochha.

Pehli kiran boli, " Mera dost gulab aaj mujhay khush aamdaid kehnay kay liye nahi raha."

Waqt

Aisa konsa waqt hai/tha jo laakhon saalon mein aik dafa aaya tha/hai?

Aisa konsa waqt hai jismein ALLAH ko yaad kiya jaaye?

Aisa konsa waqt hai jab dil dhadhakna band kar sakta hai?

In sab ka aik hi jawab hai aur woh hai

"Har Waqt"

Sarmaya kaari

Sochain agar aam ka aik beej bhi hum sab phenknay kay bajaye zameen mein bo dein gay to is aik maheenay mein kam say kam bhi laakhon aam kay beej zameen mein boay jaaein gay.

8 say 10 saal baad yeh aam kay beej mukammal darakht ban kay phal dena shuru kar dein gay.

Aur itni barri tadaad mein aam kay phal haasil ho saktay hain keh hum aam kay importer ban saktay hain.

Mitti hi kyon?

Kabhi aapnay socha hai keh ALLAH nay mitti jesi haqeer cheez say insaan jesi behtareen makhlooq kyon banaai?
Woh phoolon ki patiyon say bhi to bana sakta tha!

ALLAH ki banaai hui har cheez main hikmat hoti hai aur is mein mojood buhat saari hikmaton mein say aik yeh bhi hai keh insaan samajh jaaye keh ALLAH jis ko chahta hai "Izzat" kay behtareen martabay deta hai.

Dunya aur Insaan

Kehtay hain dunya 4,50,00,00,000 (4.5 Billion) saal pehlay wajood mein aa chuki thi. Laikin aaj tak apnay madaar say nahi hatti. Woh usi raastay par chal rahi hai jis par shuru mein thi aur zyada tar barray haadson say bachti rehti hai.

Aur Insaan, average umar agar 60 saal samajhain, itni chhoti si umar mein baar baar ALLAH kay bataye huay seedhay raastay say hat jaata hai aur baar baar haadson ka shikaar hota rehta hai.

Namaaz

Safaid rang sab ko achha lagta hai. Laikin is kay saath mukhtalif rang rakh dain to buhat achha lagta hai...

Quail (Cuckoo) ki awaaz sab ko achhi lagti hai. Laikin is kay saath qudrat ki doosri awaazein mil jaaein to buhat achhi lagti hain...

Isi tarah akelay namaaz parhain to achha lagta hai. Laikin jamaa'at kay saath namaaz parhain to buhat achha lagta hai.

Duaa, dil say...

Tez urrtay huay jahaaz say jump laganay kay baad, yeh us fauji ki, as a parachuter, doosri jump thi.

Hawa mein tairna us kay liye khoobsurat tijarba tha. Zameen ko itni oonchaai say bilkul apnay neechay dekhna aik thrill tha...

Zameen say kuchh oopar usnay apnay bag ki belt khenchi laikin parachute na khula...us nay buhat zor lagaya laikin parachute na khula.

Aur phir zameen par itni tez raftaari say girtay huay, us nay rotay huay, dil ki gehraaiyon say ALLAH say dua ki aur aik aur koshish ki to parachute khul gaya...

Daaon mein tabhi asar peda hota hai jab sachay dil say ALLAH say maanga jaaye.

Kahani aur Haqeeqat

Kahani:
Woh shakhs "Time Machine" par beth kay mustaqbil dekh kay aaya tha. Aur mustaqbil kay kaamyaab logon ko unki kaamyaabi ki wajah bata raha tha. Log uski baat maan rahay thay kyonkeh woh aik sacha insaan tha.

Haqeeqat:
ALLAH to mustaqbil aur maazi ka bananay wala hai. Aur hamein bata bhi raha hai keh mustaqbil mein kaamyaab kon hoga! To hum apnay RAB ki baat nazar andaaz kyon kar rahay hain?
 
 
Chhoti chhoti baatein----Pages----1, 2